logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - fatema ladak - 2011

Mere pyaare Qasim (AS)

Bain karti thi yeh farwa meray pyare qasim



Bain karti thi yeh farwa meray pyare qasim x2

Eh mere chand mere raaj dulareh qasim



Kya issi din ke liye maa ne tumhe palaa tha x2

Daikhu sehray ki jagaa khoon ke dhare qasim



Maa ko dharas bari hoti hai jawan bete say x2

Chor ko maa ko chaleh kis kay sahare qasim



Uth kay daikho toh zara baiwaa dulhan ki surat x2

Hai –e- kia haal huwa ranjh kay maare qasim



Aaj ke din ki wasiyat thi wo taaweez-e-hassan x2

Mei na samji thi yeh qismat kay ishareh qasim



Sar bhi chora na tere jism-e-barida peh tera x2

Ashk kaise teri maa shakl pay waareh qasim



Jab madine mei khabar aayi kissi shaadi ki x2

Ro kay farwa ne kehaa hai hamareh qasim



Jab bhi sineh se lagaata hai yeh mehshar quran x2

Yaad aateh hai teri laash kay paare qasim

HomebookmarkmybayaazSetting